Friends
If You Want To Share Ghazals With Friends Then Click On Share Button Below The Post Regards.
GhazalWorld Team

Tuesday, January 31, 2012

Mein thak gai hun is qadar musafat se logo ~ Kanton ki aaghosh main mein bhi sona chahti hun


Main thak gai hun is qadar musafat se logo
Kanton ki aaghosh main mein bhi sona chahti hun
Na rhe hosh phir baki deen o dunya ka
Mein kisi ki chaht mein khona chahti hun
Or na rhe aansuon ki hasrat baki
Mein ji bhar k dost rona chahti hun
Meri khawahishon ki mukhalif raheen hasraten logo
Muje mila wohi jo mein na chahti hun
Phir ho jati hun qaid teri yadon mein sumaira
Mein jab b azad hona chahti hun

Monday, January 30, 2012

Je Mera Chahe Ke Tere Dil Ki Dhadkan Ban Jaun


Je Mera Chahe Ke Tere Dil Ki Dhadkan Ban Jaun
Baat Be Baat Tere Mun Se Niklun
Teri Sochon Ka Mehwar Bn Jaun
Je Mera Chahe ………Ke Tere Qadam Bn Jaun
Tera Saya Bn Jaun
Tere Sath Sath Rahun Tu Jahan Kahin B Rahe
Je Mera Chahe  Ke
Teri Ankhon Ki Binai Bn Jaun
Noor Ki Tarha In Mein Rach Bass Jaun
Je Mera Chahe  ……Ke
Tere Honton Ki Dua Bn Jaun
Or Phir Teri Berukhi Ko Dekh Kar Pta Hai Je Chahe ……..?
Je Mera Chahe  K….. Teri Ankh Ka Ansu Bn Jaun….
Tu Barey Dard Se Ankh Se Giraye Mujko
Mein Tere Rukhsaar Ko Choo Kar
Sumaira Tare Qadmon Mein Gir Jaun

Sunday, January 29, 2012

Jab Wo Hua Juda Subha Ka Waqt Tha ~ Bantne Ko Tha Sooraj Kirnen Subha Ka Waqt Tha



Jab Wo Hua Juda Subha Ka Waqt Tha
Bantne Ko Tha Sooraj Kirnen Subha Ka Waqt Tha
Har Koi Tha Magan Apne Apne Kamon Mein 
Wo Bhi Tha Tyar Ho Rha Subha Ka Waqt Tha
Us K Jane K Ghum Mein Ankhen Thi Baras Rhin
Jab Ro Di Hawa Subha Ka Waqt Tha
Mein Wo Subha Nhi Bhula Skta Logo
Jab Wo Sehar Se Pardesi Bna Subha Ka Waqt Tha
Mein Bhool Jaun Kaise muneeb Us Subha Ka Manzar
Jab Meri Dunya Luti Subha Ka Waqt Tha

Saturday, January 28, 2012

Aagosh Mein Teri Rakh K Sar Kisi Shab Tanhai Mein ~ Hathon Mein Le K Hath Haal E Dil Kehne Ko Man Chahta Hai


Aagosh Mein Teri Rakh K Sar Kisi Shab Tanhai Mein 
Hathon Mein Le K Hath Haal E Dil Kehne Ko Man Chahta Hai
Maaloom Hmen Bhi Hain Marasim E Mohabbat Jana 
Jane Kyun Ye Situm Sehne Ko Man Chahta Hai
Ye Kb Zid Hai K Muje Taaj Mehal Bna Do
Faqat Tere Dil Mein Rehne Ko Man Chahta Hai
Ban K Dharkan Rahun Tere Dil Mein
Lahu Ki Tarha Teri Nas Nas Mein Behne Ko Man Chahta Hai
Is Qadar Acha Hai Us Ka Manane Ka Andaz Logo
Ab To Har Pal Roothne Ko Man Chahta Hai
Tere Bare Mein Sochna Acha Lgta Hai
Kbi Tanhai Mein Rone Ko Man Chahta Hai
Kabi Kbi To Wo Had Karta Hai Apne Husn Ki
K Us Ki Har Ada Pe Mar Mitne Ko Man Chahta Hai
Suna Hai Aik Hi Nazar Mein Loot Leta Hai Qaraar Wo
Ab To Apna Hi Us K Hathon Lutne Ko Man Chahta Hai
Nhi Maaloom K Tum Se Kitni Mohabbat Karti Hun Sumaira
Sirf Man Tujh Pe Fida Karne Ko Man Chahta Hai
Agar Wo Dekh Le Hans K Ik Bar Meri Janib
To Logo Sari Dunya Thukrane Ko Man Chahta Hai
Kitni Pur Ronaq Galiyan Kitne Haseen Log
Ab To Umar Bhar Tere Shehr Mein Rehne Ko Man Chahta Hai
Shayd K Umar Bhar K Gham O Dard Bhool Jayen 
Tere Qadmon Mein Sar Rakh K Rone Ko Man Chahta Hai
Haseen Mosam Hai Dil Ki Dareena Hasrat B
Aj Teri Bahon Mein Simatne Ko Man Chahta Hai
Jane Kb Se Liye Phirti Hun Khawahish Dil Mein
Haal E Dil Tum Se Ab Kehne Ko Man Chahta Hai
Manzoor Hain Muje Ab Umar Bhar Ki Ruswayan 
Tere Ishq Mein Jalne Ko Man Chahta Hai
Na Toot Paye Jo Kabi Bandhan Aisa Wabasta Kar Lun
Umar Bhar K Liye Is Tarha Apnane Ko Man Chahta Hai
Ji Nhi Skty Hm Us K Bgair Sumaira
Sari Dunya Se Ye Kehne Ko Man Chahta Hai
Ye Tere Nam Se B Hai Kaisi Ulfat Jana
K Sunty Hi Sajdey Mein Sar Jhukane Ko Man Chahta Hai
Kaash Wo Jan Le K Jis Ki Khatir
Ye Sb Karne Ko Man Chahta Hai
Or Wo Itna B Haseen To Nhi Hai Sumaira 
Jaane Kyun Usey Dekhun To Dekhty Rehne Ko Man Chahta Hai

Tuesday, January 24, 2012

Ay khuda mere hise ki khushian us k nam kr de


Ay khuda mere hise ki khushian us k nam kr de
Gum jo b hai us k wo mere nam kr de
Bikhair de chahy meri rah meinn kanty 
Us ki har manzil magr asan kr de
Hayat mein us ki ho chaar soo ujala
Meri zindgi mein chahy sham kr de 
Wo jiye misaal ki lambi zindgi
Meri tmam sansain us k nam kr de
Usy likh de mery naseeb mein mujh nachiez pe ehsaan kr de
Or
Ay khuda! Tu kre agr shumar use kisi or ka naseeb
To mein khush Allah meri zindgi ka ikhtatam kr de

Wednesday, January 18, 2012

Bandh len hath pe seeny pe saja len tumko

Bandh len hath pe seeny pe saja len tumko
G mai ata hai k taveez bana len tumko
Phr tumhen roz sanwaren tumhen barhta dekhen
Q na angan mai chambeli sa laga len tumko
Jesy balon mai koi phool chuna kerta hai
Ghar k guldan mai pholon sa saja len tumko
Kabhi khuab ki tarhan ankh k perdy mai raho
Kabhi khuhish ki terhan dil mai bula len tumko
Jis terhan raat k seeny mai hai mehtab ka noor
Apny tareeq makano mai saja len tumko
Ab tu bus aik hi khuahish hai kisi mor per tum
Humko bikhry hoy mil jao Sambhalen tumko.....!


Us Nay Jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara

Us Nay Jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara ,
Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara ,

Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain,
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujara ,

Ho Gaya Jab Ya Yaqeen Ab Wo Nahi Aye Ga,
Aanson Aur Gham Nay Diya Dil Ko Sahara ,

Woh Tha Jab Pass To Jeenay Ko Bhi Dil Karta Tha,
Ab Tu Pal Bhar Bhi Nahi Hota Guzara ,

Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi,
Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara ..


Thursday, January 12, 2012

Bahar Rut me Ujaar Raste' Takka Kro ge To Ro Pro ge,

Bahar Rut me Ujaar Raste'
Takka Kro ge To Ro Pro ge,

Kisi se Milne Ko Jb B MUN3B'
Sja Kro gy To Ro pro gy,

Tumhare Wadon ne Yar Mujh Ko
Tbah Kia he Kuch is Trah se,

K Zindgi me Jo phr Kisi se
Dagha Kro ge To Ro Pro gy,

Main JanTa Hun Meri MohabT
Ujaar De gi Tumhe B aisy,

K Chaand Raton me Ab Kisi se
MiLa Kro ge To Ro pro ge,

Brasti Barish main Yaad Rakhna
Tumhain Staayn gi meri Ankhein,

Kisi Walli k Mzaar pr tum
Dua kro ge to Ro pro ge

Sunday, January 8, 2012

Ajab uljhan bhare din haiN wajah jani nahiN jati

ajab uljhan bhare din haiN wajah jani nahiN jati
humari bekrari, unkii hairaani nahiN jati.

kabhi taariiq goshoN se suni thi ik sadaa humne
huii muddat magar dil se pareshani nahiN jati.

bhari basti meiN bhi halat kharaabe se nahiN kamtar
humare ghar se aakhir kyoN ye veerani nahiN jati.

akela huN yahaaN mere siva koii nahiN rehta
yahaaN tanhaiyoN ke rukh se taabaani nahiN jati.

khasaara hi khasaara apne hisse meiN chalaa aaya
kabhi taqdeer ke qatib kii manmani nahiN jati.

lipat kar phool se roti rahi titlii bagheeche meiN
shikaayat thi ki rango-boo se uriyani nahiN jati.

panaheN maaNgne wale musalsal baRh gaye, lekin
mahal ke band darwazoN se arzaani nahiN jati.

na jane kaun-si mitti se rab inko banaata hai
faqiri meiN bhi mazdooroN ki sultani nahiN jati.

humari chashme-tar pe rakh gayaa hai waqt wo chashma
‘bahut jani huii surat bhi pehchani nahiN jati.’

michauli ke liye usne kabhi aaNkhoN pe baNdhi thi
mere khawaaboN se ab tak wo chunar dhani nahiN jati.

humare aaj se behtar naii nasloN ka kal hoga
bhale nasaaz hoN haalaat imkaani nahiN jati.

abhi din-raat haiN pal-pal farozaaN dheroN yadoN se
akela chhoRkar mujhko ye tugiyani nahiN jati.

use kab hosh hai iskaa kahaaN dil rakh diya lekar
sitamgar kii, muhabbat meiN bhi naadani nahiN jati.

mere khawaaboN ke sehra meiN chale aao, chale aao
baRaa purkaif aalam hai ki laasaani nahiN jati.

kabhi hai meer ka pehlu, kabhi ghalib mehkate haiN
ziyada door ghazaloN se nigehbaani nahiN jati.


Thursday, January 5, 2012

ہر آسماں پہ لگے اگلے آسماں تک ہے ~ Har aasmaaN pe lge agle aasmaaN tak hai



ہر آسماں پہ لگے اگلے آسماں تک ہے
نہ جانے ضبط کا یہ امتحاں کہاں تک ہے

جہاں جہاں پہ تجھے درد دھوپ چُھو پائے
مری دعاؤں کا سایہ وہاں وہاں تک ہے

تجھے ملا ہے وہ اخلاص دیکھ کر جس کو
فقط مکاں نہیں حیران لا مکاں تک ہے

نہ دیکھو صرف چمکتے ہوئے دلوں کو ہی
محبتوں کا اجالا تو کہکشاں تک ہے

ترے خیال ہی سے پھوٹتی ہے ہر لمحہ
وہ روشنی جو مرے خواب آستاں تک ہے

نہ رُک سکا ترا احساس جسم تک میرے
یہ سلسلہ تو مری رُوح میری جاں تک ہے

ہر ایک سانس میں اُنکے ہے وَرۡد کی خوشبو
جو سوچتے تھے کہ بس وَرۡد گلستاں تک ہے
وَرۡد بزمی
Har aasmaaN pe lge agle aasmaaN tak hai
Na jaane zabt ka ye itihaaN kahaaN tak hai

JahaaN jahaaN pe tujhe dard dhoop chhoo paaye
Meri duaaoN ka saayaa wohaaN wohaaN tak hai

tujhe mila hai wo ikhlaas daikh kar jis ko
faqat makaaN nahiN hairaan laa makaaN tak hai

Na daikho sirf chamakte huway diloN ko hi
MahabbatoN ka ujaala tau kahkashaaN tak hai

Tere Khyaal hi se phooT'ti hai har lamha
Woh roshni jo mere khwaab aastaaN tak hai

Na ruk saka tera ehsaas jism tak maire
ye silsila tau meri rooh mairi jaaN tak hai

har aik saaNs maiN un kay hai WARD ki khushbu
Jo sochte thay keh bus WARD gulsitaaN tak hai

Tuesday, January 3, 2012

Bhaly dinon ki bat hy bhali c ek shakal the



Bhaly dinon ki bat hy bhali c ek shakal the....
Na ya k husn-a-khas ho na dakhny mn aam c...
na ya k vo chly to kah'kshan c rah guzr lgy....!!!
mgr....!!vo sath ho to phr....... bhla bhla safar lgy.
koi b rutt ho us ki chhub fiza ka rang roop the.
vo garmion ki chaaon the...vo sardion ki dhop the.
na muddaton juda rahy na sath subho sham ho..
na rishta-a-wafa py zid na ya k izn-a-aam ho..
na asi khush libasian k sadgi gila kry....
na asi by takalufi k aaina gila kry..
na ikhtlaat mn rim k...bd maza hon khahishain.
na is qadar sapurdgi k..zich kren nwazishain.
kbi to baat b khaffi.....kbi sakoot b sukhan..
kbi to kisht-a-zufran .. kbi udasiyon ka bn..
phir ek roz kia hoa wfa py behs chir gy..
mn ishaq ka aseer tha vo mri bat sy chir gy..
mn ishq ko amr kahon vo ishaq k0o qafas kahy .
k..umr bhr k sath ko bd-tr- az hawas kahy..
mn koi painting nhi k ik fraim mn rahon..
vohi jo mun ka meet ho usi k preem mn rahon.
suna hy ek umr hy moamlat-e-dil ki b...
wasal-e-janfiza to kia..firaq-e-jan gusal ki b..
na us ko mujh py maan tha ..
na muj ko us py zoam hi..............
jub koi aehad hi na ho to kia gham-e-shikastgi.
so apna apna rasta hunsi khushi badl lia.
vo apni rah chal di mn apni rah chal dia.........
bhali c ek shakal thi.......bhli c us ki dosti.
ab us ki yad rat din....nahin.....mgr.........
kbhi kbhi........

محبتیں جب شمار کرنا تو سازشیں بھی شمار کرنا


محبتیں جب شمار کرنا تو سازشیں بھی شمار کرنا

جو میرے حصے میں آئی ہیں وہ اذیتیں بھی شمار کرنا

جلائےرکھوں گی صبح تک میں تمھارے رستےمیں اپنی آنکھیں

مگر کہیں ضبط ٹوٹ جائے تو بارشیں بھی شمار کرنا

جو حرف لوحِ وفا پہ لکھے ہوئے ہیں ان کو بھی دیکھ لینا

جو رائیگاں ہو گئیں وہ ساری عبادتیں بھی شمار کرنا

یہ سردیوں کا اداس موسم کہ دھڑکنیں برف ہو گئ ہیں

جب ان کی یخ بستگی پرکھنا، تمازتیں بھی شمار کرنا

تم اپنی مجبوریوں کے قِصے ضرور لکھنا وضاحتوں سے

جو میری آنکھوں میں جَل بجھی ہیں، وہ خواہشیں بھی شمار کرنا


(نوشی گیلانی)

Sunday, January 1, 2012

Special Ghazal For New Year 2012 ~ Wohi Zindagi Ke Wabaal Hain



Wohi Zindagi Ke Wabaal Hain
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,

Wohi Bay_Yaqeeni Hai Khoo_Ba_Khoo
Wohi Na Umeedi Hai Chaar Soo,

Jo Bhi Hai Srapaa Sawaal Hai
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,

Wohi Dast_o_Paa Wohi Chashm_o_Lab
Jo Gahin Mein Thay Woh Gahin Mein Hain,

Wohi Hosson Jiss Pay Zawaal Hai
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,

Wohi Intashaar si Zindagi
Hai Wohi Ghubaar si Zindagi,

Wohi Saans Laina Mahaal Hai
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,

Wohi Phool Phool Pe titliyaan
Hain Darri Howi K Marri Howi,

Wohi Bay_Hissi Keh Misaal Hai
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,

Wohi Khawab Hain Keh Azaab Hain
Wohi Roz_o_Shab Keh Saraab Hain,

Wohi Gardish Ay Mahh_o_Saal Hai
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai..