Friends
If You Want To Share Ghazals With Friends Then Click On Share Button Below The Post Regards.
GhazalWorld Team

Saturday, November 12, 2011

Tumahari anjuman se uth ke deewane kahan jaate

Tumahari anjuman se uth ke deewane kahan jaate
Jo babesta hue wo afsane kahan jaate.

Nikal ker dero kaba se na milta mayekhana
To thukaraye hue insaan na jane kahan jaate.

Tumahri berukhi ne naz rakhli baaada khaane ki
Tum aankhon se pila dete to paimane kahan jaate.

Chalo achaa hua kaam aagayi deewangi apni
Vegerna hum zamane=bher ko samjhane kahan jaate.

" Kateel" apna muqadder gam se begana ager hota
Fir to apne-paraye hamse pahchane kahan jaate.