Friends
If You Want To Share Ghazals With Friends Then Click On Share Button Below The Post Regards.
GhazalWorld Team

Thursday, November 24, 2011

Har pal kisi ka chere yu aankho mein sama jata hai


Har pal kisi ka chere yu aankho mein sama jata hai
Khawab bhi haqeekat ka roop le samne aata hai

Raat din aankho mein anjana surur rehta hai
Hawa ka jhoka kisi ki khushbu udaa lata hai

Yuhi jab baato mein unka jikar aata hai
Ankho mein sharam ka samandar nazar aata hai

Tasvir banate rehte hai unki bikhre badlo par
Tanhiyo me seene se takiye ko lagaya jata hai

Kore kaagzo par likhte hai baar baar naam unka
Phir unhi kaagzo ko phadkar mitaya jata hai

kaano me mere gunjati hai unki aawaz aaise
Raat ke Andhero me jaise koi dur se bhulta hai

Apni parchiyo mein unka aks dhundte rehte hai
Anjane chero me bhi unka chera nazar aata hai