
Pyar kerta hoon main tumse
Izhar kerna itna asaan tu nahin
Samajhta hoon mushkil ko per
Samjhana itna asaan tu nahin
Dil mein tu bohot kuch hey per
Labon pay lana itna asaan tu nahin
Khud wo sub dukh jantay hoye
Dosron ka dil dukhana itna asaan tu nahin
Apnon ke zakhm dil mein chupa kay
Dil ka dharktay rehna itna asaan tu nahin
Umeedein tu bohot hein shayed per
In umeedon ka poora hona itna asaan tu nahin
Ankhon say sub jhalakta ho jub
Labon ka muskurana itna asaan tu nahin
Pyar kya hey janta hoon per
Dastan sunana itna asaan tu nahin
Dil rota hey zaar-o-zar per
Ankhon ka num na hona itna asaan tu nahin
Logon ko umeedein hein mujh say per
Zamany ka ghulam hona itna asaan tu nahin
Us ik sachay din ko bhula ker
Duniya kay saath chalna itna asaan tu nahin
Dil hi na raha ho jub phir
Dil ka toot jana itna asaan tu nahin
Sanwaarna chahta hoon is zindagi ko mein bhi
per Is bhanwer ka sanwer jana itna asaan tu nahin
Dua hey kay dil ko sakoon milay per
Derd-e dil ki dawa kerna itna asaan tu nahi