Tujh se to koi gila nahiN hai Qismat meN meri sila nahiN hai BichhRe to na jane haal kya ho Jo shakhs abhi mila nahiN hai Jeeney ki to aarzu hi kab thi Marne ka bhi housla nahiN hai Jo zeest ko mo’tabar bana de Aisaa koi silsila nahiN hai Khushbu ka hisaab ho chuka [...]