
apne mann kii maiN jaanuuN aur pii ke mann kii Ram
yahii merii bandagii hai, yahii merii puujaa
ek thaa saajan mandir meN aur ek thaa pritam masjid meN
par maiN prem ke rang meN aisii Duubii ban gayaa ek hii ruup
prem kii maalaa japte japte aap banii maiN Shyam
ham aur nahiiN kuchu kaam ke
matvaare pii ke naam ke, har dam
priitam kaa kuch dosh nahiiN hai vo to hai nirdosh
apne aap se baateN kar ke ho gayii maiN badnaam
saaNsoN kii maalaa pe simruuN maiN pii ka naam
apne mann kii maiN jaanuuN aur pii ke mann kii Ram