Friends
If You Want To Share Ghazals With Friends Then Click On Share Button Below The Post Regards.
GhazalWorld Team

Saturday, November 12, 2011

Phir chiri raat baat phoolon ki

Phir chiri raat baat phoolon ki
raat hai baraat phoolon ki.
Phool ke haar phool ke gazre
shaam pholon ki raat phoolon ki.

Aapka sath-saath phoolon ka
aapki baat phoolon ki.
Nazer milti hai jaam milte hai
mil rahi hai hayaat phoolon ki.

Kaun deta hai jaan phoolon per
kaun kerta hai baat phoolon ki.
Wo sharafet to dil ke saath gayi
lut gayi kaaynat phoolon ki.

Ab kise hai damage tohmate ishq
kaun sunta hai baat phoolon ki.
Mere dil main hai saroor-e subah bahaar
teri aankhon main raat phoolon ki.

Phool khilte rahenge duniya main
roj niklegi baat phoolon ki.
Ye mahakti hui ghazal 'Makhdoom"
Jaise sahra main rat phoolon k