Friends
If You Want To Share Ghazals With Friends Then Click On Share Button Below The Post Regards.
GhazalWorld Team

Monday, December 12, 2011

Jiska Dar Tha Wohi Haadsa Ho Gaya,


Jiska Dar Tha Wohi Haadsa Ho Gaya, 
Uska Mujhse Alag Raasta Ho Gaya, 


Wo Chala ThaaM Kar Haath Mera Magar, 
Bich Raaste Mein Mujhse Juda Ho Gaya, 


Koi Saya Nahi Tha Kadi Dhoop Mein,
Dil Pighalte Pighalte Fana Ho Gaya, 


Maine Dekha Jise Maine Socha Jise, 
Jisko Chaha Wohi Bewafa Ho Gaya..

Main koi hurf-e-ghalat hon k mitaya jaon


Main koi hurf-e-ghalat hon k mitaya jaon 
jub bhi aon teri mehfil mein, uthaya jaon 


aik toot hoa patta hon thikana nahi maloom 
janay kab tak mein fizaon mein uraya jaon 


phir koi quwwat ki lori koi uljha hoa geet 
main bohat dair ka jaaga hoa. sulaya jaon 


janay kis jurm ki paadaash mein her roz saba 
haye halaat ki sooli per charhaaya jaon.

Mere Aansuon Pe Nazar Na Kar, Mera Shikwa Sunke Khafa Na Ho,


Mere Aansuon Pe Nazar Na Kar, Mera Shikwa Sunke Khafa Na Ho, 
Use Zindagi Ka Bhi HaQ Nahi Jise Dard-E-IshQ Mila Na Ho, 


Ye Inayatein Ye Nawazishein, Mere Dard-E-Dil Ki Dawa Nahi, 
Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai Jo Ada Shanaas-E-Wafa Na Ho, 


Tujhe Kya Bataun Main Bekhabar Ki Hai Dard-E-IshQ Mein Kya Asar, 
Ye Hai Wo Latif Si Kaifiyat Jo Zuban Tak Aayi Ada Na Ho, 


Ye Sharaab Rez-E-Hasin Ghataa Jo Hai "Kaif" Naazish-E-Maykada, 
Kisi Tashnaa-KaaM Ki Aarzu Kisi Tashna-Lab Li Dua Na Ho...

Na Socha Na SaMjha Na Seekha Na Jaana,


Na Socha Na SaMjha Na Seekha Na Jaana, 
Mujhe Aa Gaya Khud-Ba-Khud Dil Lagana, 


Zara Dekh Kar Apna Jalwa Dikhana 
SiMat Kar Yahin Na Aa Jaye ZaMana 


Zuban Par Lagi Hai Wafaon Ki Mohrein 
KhaMoshi Meri Keh Rahi Hai Fasana 


Gulon Tak Lagayi To Asaan Hai Lekin 
Hai Dushwar Kaanton Se DaaMan Bachana 


Karo Lakh TuM MataM-E-Nojawani 
Per 'MIR' Ab Nahi Aayega Woh ZaMana